ab bhi bas rahi thi kahi uske dil me tammanna jeene ki
duniya ki bheedh me akeyla hi aage badhne ki
shaitano ki is duniya se akeyle hi ladne ki
har pal jaagte hue wo dekha karta tha ek sapna
uska dil jo kabhi ban na saka us ka apna
wo to ye chahta tha ki na lade bhai bhai se
na beta khoon kare baap ka na koi dukh de kisi ko na apmaan kare maa ka
magar saya tha shyad uske upar kisi shaap ka
ya ye sab kaaran tha unke man me bas rahe paap ka
khud hi jala kar apne ghar ko naam de diya aag ka
or laga diya dusre ke ghar ke saamne dher raakh ka
fana khud hua nahi or oro ko kar diya supurd khaak k
dusro se karta raha shikva or dekha na girebaan me khud ke jhaank k
matlabi ban kar har kisi se karta raha thitholi
khelta raha wo tab bhi logo k khoon se holi
har raat banali khud ki usne diwali
or oro ki sej ujaadh kar khud apni hi sej saja li
bas karta raha manmaani
or ek din usne khud hi ki khatir khud ko aag laga li???
shyad usko ye samajh me aaya tha
ki wo jo kar raha tha ek shaap ka saya tha
lekin jab us saye ka asar kuch kam hua
usne sab jaan kar
apni kamiya pahchaan kar
khud ko us shaap se alag karwa liya
or duniya ki khatir khud ko jala liya
uski jeene ki tammanna ab bhi uske man me thi
lekin duniya ki khatir hi sahi
usne wo daba di!!!
usne wo daba di!!!!